When I suffer from relentless awesomeness much like Barney

Chaand ki misaal kya dein, mere kandhe pe sar rakh rota raha
Main khud mein hi mashroof thi, uske zakhm ka ilm kahan
Ye meri muflisi hi hai ki usne mujhse apni baat kahi
Warna yun to Chand bhi mujhse kai raat dur hai.

Taare zameen par utrenge ek din, ye baad ki bat rahi.
Filhaal, ye anmol pal to yunhi gawa diya humne

Main jo main hun, tum jo tum ho aur baaki ye bheed. Is din ki khaas baat yehi hai, ki tumne mujhe dhund lia aur maine tumhe.

Laga tha ye muflis dil rahega tanha, aur phir ek din khudse mulakat hui.

Tumse aati roshni ne mujhko gila kar diya
Baakiyon ke sar pe kyun phir, itni kori dhoop hai?

Comments

Popular Posts